Tera zaroori hai paar jana,
Bipharte darya ki surkh mojain
Bata rahi hain,
Khiraj mangay hai aaj darya,
Meri mano to aisa kar lo,
Mujhe shareek-e-safar bana lo,
khiraj mangay Jo tujh se darya,
Mujhe bhanwar main utaar jana,
K, tera zaroori hai paar jana.
No comments:
Post a Comment