Hum Na Samjhey Teri Nazron Ka Tqaza Kya Hai
Kbi Jalwa Kbi Parda Ye Tmasha Kya Hai
Teri zulfon nain mujhay aesa nsha kar dala
Warna Saqi Teray Maekhanay Mein Rakha Kya Hai
Dekh Laela Teray Majnu Ka Kleja Kya Hai
Khak Mein Mil K bhi Kehta Hai K Bigra Kia Hai
Ye Surahi Sa Bdan Lay K Meray pas Na Aa
Main Shrabi Hon Shrabi Ka Bhrosa Kya Hai
Apnay Honton Ko Meray Honton Say Chhu lenay do
Ek do Ghoont Say Botal Ka Bigarta Kya Hai.
No comments:
Post a Comment